Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2016

Computer par dekhe apne Mobile ke SMS

Posted  1 day   age , last updated on  January 19, 2016  by akash soni     Facebook par chatting to shuru se computer dwara ho hi jati hai. Kuch dino pehle WhatsApp ne bhi apne whatsapp web feature nikal kar computer se chatting karna sambhav kar dia tha. Lekin SMS ka kya, Kya Mobile par aaye SMS ko computer dwara dekha aur send karna sambhav hai ? Agar aisa ho jaye to aap sochiye ki aapka kitna time bachega. Kyoki notification check karne ke liye aapko bar bar mobile khol kar nahi dekhna padega. Aur computer ke keyboard ki wajha se aap SMS type bhi aaraam se kar sakte ho. Is article me hum ek App dekhege jiske dwara aap apne Mobile ke sabhi SMS computer par khol sakte ho, aur unka reply bhi kar sakte ho. Yaha tak ki agar aapke mobile par call aa rahi hogi to uski bhi jaankari ye App apko de degi. Computer par Mobile SMS kaise padhe Computer par SMS padhne ke liye sabse pehle hume apne mobile par ek App Daalni padegi, ye app apne mobile par received kisi bhi SMS

Rape reason & solution – बलात्कार – एक गंभीर मुद्दा और उसका हल

Lo ek aur news aa gayi balatkar ki. News walo ko news mil gayi, hum thodi der ke liye dukhi hue, police apni na khatam hone wali karwai pe joot gayi aur rajneetik dalon ko apni rajniti chankane ka ek aur mouka. Bas yehi to ho raha hai aajkal desh me. Aaye din aisi balatkar ki ghatnao ke baare me sunkar man karta hai kursi par baithe humare rajnetao ki kaan khichkar unhe jamin par le aau par kya kare humari bhi kuch daayre hai.  Sabse bura to tab lagta hai jab ye sunte ko milta hai ki ek baap ne beti ka balatkaar kar liya. Behan apne bhai ke haiwaniyat ka shikaar ban gayi. Hum sochne pe majboor ho jate hai ki desh me ye kya ho raha hai. Hum to sarkar ko koste rahte hai lekin ye na bhule ki in sab ke liye humsab bhi kum jimmedaar nahi  hai.Mai  to kahunga hum hi jimmedaar hai humara samaj hi jimmedaar hai. Hume pata hai ki sarkar kuch nahi kar rahi hai fir kyu hum unhipar baar baar ummid lagaye baithte hai, jab hume pata hai ki sarkar soyi hui hai to kyu hum India Gate Pe cand

Addiction bad or good manners? लत बुरी या अच्छी आदत

Har vyakti chahe aap ho ya mai kisi na kisi lat ka shikar hote hi hai. Lekin sawal ye hai ki lat lagna ek achi aadat hai ya buri ? Ye tay karna sayad sabke liye alag alag ho. Normally hum yehi sunte aaye hai ki lat lagna buri aadat hai. Insan ko kisi chij ka lat nahi lagana chahiye. Halaki ye lat buri ya achhi dono hi ho sakti hai aur situation ke hisab se badalti bhi rehti hai. Mera ye manna hai ki jab aap apni dil ki sunke koi bhi kaam puri lagan se karte jate hai use hi lat kahte hai. Jaise aapko koi TV show (bachpan me Krishna aur Mahabharat ko hi le ligiye) ya koi book bahot jyada pasand aa gaya aur aapki situation aisi hai ki aap ise dekhe ya pade bina nahi reh sakte. Ya fir sharab ya sigrate ki lat jise aap chhor nahi sakte. Yani ki dono hi case me aapko kisi vyakti ya wastu se dil se lagaw ho jata hai aur aap use bahot jyada pasand karne lagte hai aur fir aapko us vyakti ya wastu ki lat lag jati hai. Jab hum ye kehte hai ki insan ko dil se sochna chahiye aur dil ki karni

Customize your mind to remove illusion which rise sorrow for you

Khush rehne ka sabse best tarika ye hai ki aap apne mind ko customize karna sikh le. Agar aapne ye karna sikh liya to aap kabhi bhi dukhi nahi  honge.Kyuki  dunia me jitne bhi problems hai sara khel is mind ka hi hai.Humara sukh-dukh sab kuch isi mind se juda hua hai. Isliye agar hum apne mind ko kisi bhi situation ke hisab se customize karna sikh le to dukh ka koi karan hi paida nahi hoga. Sabse pehle baat karte hai ki hum dukhi kyu hote hai ? Iska seedha sa uttar ye hoga ki hum dukhi tabhi hote hai jab koi chij humare anusar nahi hota hai. Aisi chij ya ghatna ka ho jana jo aapke mind ko pasand na ho ya yu kahe ki aapke mind ke khilap ho yehi humara dukh ka mukhya karan hota hai. Udaharan ke liye aapne apne bachcho ke liye apne man me bahot sare sapne sajaye rakhe hai. Ye sapne kuch bhi ho sakta hai jaise mujhe apne bete ko doctor banana hai ya fir unke shaadi liye pehle se hi ladki pasand karke rakha hai, ya fir ye ummid palke rakhe hai ki bade hokar meri budape ki lathi b

Women molestation – घूर घूर के ना देख घूर घूर के

Kuch dino pehle youtube pe ek  video  release hua tha jisme dikhaya gaya tha ki ladkiyo ko ghurte hue ladke kaise dikhte hai. Mera ye post unke liye jawab hai. Mera manna hai ki agar hum wakai me samasyawon ka samadhaan chahte hai to hum sabko sudharna padega. Sirf ek dusre par aarop lagane se kuch nahi hoga. Jaha tak ladkiyon ko ghurne ka sawal hai hum unse kehna chahte hai ki dekhne aur ghurne me bahot jyada fark hota  hai.Hum  khoobsurat chijon ko dekhte hai aur hot, sexy chijon ko ghurte hai. Agar ladkiya saari ya salwar shut pehnengi to ladke use khoobsurat nazariye se dekhenge aur agar ladkiyaan bhadkau dress pehenengi to jahir hai log unhe  ghurenge.Agar koi ladki chhoti skirt pehnti hai aur kamar pe tattoo banwake dikhati hai to use ye bilkul ummid nahi karni chahiye ki log unhe achhe nigaho se dekhe ya unpe achhi comment kare kyuki ye 100 % ladki pe dipend karta hai ki ladke use kis nazar se dekhe. Pehle to ladkiya ye bataye ki kamar pe tattoo banwane ki piche aur chh

Awareness is only possible to switch – जागरूकता से ही बदलाव सम्भव है

Pichle kuch mahino me hume kayi chije aisa dekhne ko mila jisse saaf pata chalta hai ki desh badlaw chahta hai. chahe wo anna ka Aandolan ho ya Modi ji ka pradhanmantri banna. Humare naye pradhanmantri ji bhi lagatar isi prayas me lage hue hai aur desh me badlaw ke liye athak pryas bhi kar rahe hai. Lekin sawal ye hai ki sirf akele pradhanmantri ke chahne se aur unke mehnat se sahi mayno me badlaw sambhaw hai kya. Kya desh ke logo ka koi farz nahi hai. Kehne ko to humara desh aajad hai aur hum 21 vi sadi me ji rahe hai lekin ye sach nahi hai. desh abhi bhi mansik gulami me ji raha hai. Hum badlaw ki baat karte hai lekin sahi mayno me badlaw tabhi hoga jab chhote gaon se lekar bade shahar tak jamini star par badlaw hoga. Jaha ek aur theth gaouno me mahilao ko ghunghat me kaid rakha jata hai to ek aur shaharo me mahilaye night club me dance karte hue nazar aati hai. Kahi par log aaj bhi bandhua majdoor hai to kahi aazad panchi ki tarah desh, videshon me ghumne wale log. Kya yeh

The real key of success in life – सफलता की कुंजी

Hum har roz apni zindagi ka jyadatar waqt kuch pane ki chah me bita dete hai bina ye soche ki hum kya kho rahe hai. Hum successful hone ke liye itna pagal rehte hai ki iske liye hum kuch bhi karne ko taiyar rehte hai. Hum apna future banane ke chakkar me itna jyada vyast rehte hai ki hum vartmaan me jeena hi chhor dete hai. Humara sharir to vartmaan me hi rehta hai lekin mann future me laga rehta hai. Aajkal jyadatar log tanav me jite hai. Tanav bhi itna jyada ki bahot se log depression ka shikar ban jate hai. Dinbhar office me kaam karke itna stress ho jata hai ki uska asar sham ko ghar jakar ubhar kar aata hai. Dheere dheere humara stress itna jyada barh jata hai ki hum chidchida ho jate hai. Chhoti se chhoti baaton pe hume bahot gussa aane lagta hai. Is stress ka bahot hi bura asar humare zindagi me padta hai. Ye stress slow poison ki tarah humarri zindagi ki khusiyo ko humse cheen leta hai. Aisa kyu ho raha hai kya kabhi humne iske vishay me gehrai se socha hai ?  Kya suc