Hum har roz apni zindagi ka jyadatar waqt kuch pane ki chah me bita dete hai bina ye soche ki hum kya kho rahe hai. Hum successful hone ke liye itna pagal rehte hai ki iske liye hum kuch bhi karne ko taiyar rehte hai. Hum apna future banane ke chakkar me itna jyada vyast rehte hai ki hum vartmaan me jeena hi chhor dete hai. Humara sharir to vartmaan me hi rehta hai lekin mann future me laga rehta hai.
Aajkal jyadatar log tanav me jite hai. Tanav bhi itna jyada ki bahot se log depression ka shikar ban jate hai. Dinbhar office me kaam karke itna stress ho jata hai ki uska asar sham ko ghar jakar ubhar kar aata hai. Dheere dheere humara stress itna jyada barh jata hai ki hum chidchida ho jate hai. Chhoti se chhoti baaton pe hume bahot gussa aane lagta hai.
Is stress ka bahot hi bura asar humare zindagi me padta hai. Ye stress slow poison ki tarah humarri zindagi ki khusiyo ko humse cheen leta hai.
Aisa kyu ho raha hai kya kabhi humne iske vishay me gehrai se socha hai ? Kya successfull hone ke liye kahi hum galat disha me to nahi bhag rahe hai ?
Jee haa, hum yehi kar rahe hai. Mujhe lagta hai ki hum sab successfull ki paribhasha ko sahi se samjhe hi nahi hai. Hum sab success ki peeche blind hokar bahot teji se bhaag rahe hai bina ye jane samjhe ki hum jis raste pe bhag rahhe hai kya wakai me wahan success hai ya nahi.
Aaiye ek nazar daalte hai ki hum success pane ke liye kya kya karte hai aur kaha kaha bhatakte hai. Hum khusi ki talash me kya kya nahi karte kaha kaha nahi jate lekin firbhi hum khus nahi ho pate hai.
Abhi hum jo bhi stress lekar ghumte hai asal me iski suruat bachpan se hi ho jata hai.
Humara education system aisa hai ki bachpan se hi school se lekar college tak padai pura karne ke liye hum sirf pressure jhelte hai. Aur reason bhi hai kyuki humare updar 99 percent marks lane ka pressure jo hota hai. Yaha mai aapko ye clear kar du ki mai education ke khilap nahi hu. Education life me bahot hi jaroori hai lekin humara education system hi aisa hai ki ye sirf zindagi katne ke liye kaam aata hai na ki zindagi jine ke liye. Zindagi katne ke liye survival ke liye education bahot zaroori hai lekin zindagi jine ke liye jis chiz ki jaroorat hoti hai wo aapko education se nahi mil sakta.
Jyadatar log bina target ke apni padai puri karte hai. Hum 12th tak to bina kisi lakshya ke bas pressure jhela fir 12th ke baad ye decide karne ke liye alag se presure ki kon sa career select kare. Doctor banna hai ya enginior, IT me jana hai ya teacher banna hai. Fir hum jab khud decide nahi kar pate hai to kisi se salah mangne jate hai. Aur fir wo salah bhi bina kuch soche free me baant deta hai ki beta tum doctor ban jao. Koi chacha kehte hai ki nahi beta tum engineer ban jao ko kahi se salah aata hai ki nahi IT field sahi hai. Isi kasmkash me logo ke dekha dekhi me hum apna career banane ke liye fir se kadi mehnat karne jut jate hai. Aur fir 5-6 saal ki kadi mehnat karne ke baad degree prapt karte hai aur fir as a fresher kisi company me 8-10 hazar ki noukri karne lagte hai. Wah kya zindagi hai !
Fir job me 5-6 saal mehnat karne ke baad kisi tarah 25-30 hazar ki salary me pahoch jate hai aur fir tab jake ye ehshas hota hai, yaar bahot boring life ji raha hu. Mujhe is kaam me man hi nahi lag raha hai. Life bahot stressful ho gaya hai. Ander se ek aawaj aati hai ki mai 25-30 hazar kama to raha hu lekin firbhi mai khush nahi hu.
Fir kafi analyse karne ke baad aakhirkar usko ye pata chalta hai ki wo khush kyu nahi hai. Kyuki aajtak usne kabhi bhi apni dil ki aawaj nahi suni. aajtak wo sirf wohi karta aa raha tha jo ya to usko apni virasat me mili thi ya dusro ki salah se, ya logo ki dekha dekhi me.
Bachpan se hi wo ek artist banna chahta tha. bachpan se hi use singing ka aur painting ka soq tha.
Lekin us waqt agar wo sahi disha me apna goal set karta to sayad aaj wo ek singer ya painter ban sakta tha.
Lekin us waqt agar wo sahi disha me apna goal set karta to sayad aaj wo ek singer ya painter ban sakta tha.
Lagbhag 15-20 saal ke kadi mehnat karne ke baad kya haasil kiya stressfull bhari zindagi.
Ab sochiye itna mehnat karke itni saalo ke baad bhi agar uske man me ye sawal rehta hai ki yaar mai khus nahi hu, mai succeessfull nahi hu. To isme ek sawal jaroor khada hota hai ki galti kiski hai ?
Kya unki jo unhe muft se salah deta tha ya parents ka jo ki ya to apni virasat me mili kaam ko hi apne bachho ke liye set karte hai ya fir wo apne hisab se apne bachho ka career tay karte hai ?
Ya fir wo khud iska jimmebaar hai kyuki usne kabhi bhi apni dil ki nahi suni aur 20-25 saal confusion me hi bita diya ?
Upyukt baato se itna to pata chalta hi hai ki khus rehne ke liye ya successful banne ke liye ye jaroori nahi ki hum kuch banne ke piche bhage balki jaroori ye hai ki hume jo pasand hai hume jis chij se khusi mil ti hai hai hum usi ko karte chale jaye. Meri guarantee hai ki aap ek din na ek din wo jaroor banenge jo aap dil se banna chahte hai. Wo bhi 20-25 saal me bhi nahi balki 10 saal me hi aap wo ban sakte hai jo aap dil se chahte hai aur dil se karna pasand karte hai, jis kaam ko karke aap khus reh sakte hai. Kyuki jis kaam ko aap sachhe dil se karte hai usko pane ke liye aapko bahot jyada mehnat bhi nahi karni padti aur na hi use karne se aapko koi stress fill hota hai.
3 idiots me Aamir khan kehte hai ki “Kabil bano success jhak marke tumhare piche bhagegi” Ye sach baat hai lekin aap kabil sirf usi kaam me bane jiske aap wakai me kaabil hai. Agar aapke ander actor banne ki kabiliyat hai to aap actor hi bane na ki doctor. Nahi to aap kisi tarah doctor to ban jayenge aur achhi khasi paise bhi kama lenge lekin aap kabhi khus nahi reh payenge. Dusri taraf agar aapme acting ka keeda hai to lagatar us disha me mehnat karne ke baad aap bhale hi Amitabh Bachha jaise bade actor nahi ban paye lekin aap theter ke actor to ban hi sakte hai. Aur sabse badi baat ye hogi ki aisa karke aap bahot khush rehenge.
Ab ek bahot badi samasya hoti hai sabke sath kisi bhi field me career banane ke liye. Wo hai darr ! aur ye sach bhi hai. Pehli baar kuch bhi naya karne se pehle aapko darr to lagta hi hai. ye ek sachai hai jo hum sab jante hai. Lekin mera ye manna hai aur khud ka experience bhi raha hai ki darr bhagane ka kewal ek hi tarika hai, aur wo hai darr ka saamna. Jitna aap darr se bhagenge darr utna hi aapka peecha karega. Behtar yehi hai ki aap uska samna kare. Darr bhagane ka iske alawa koi rasta hai hi nahi.
Udaharan ke liye aapko stage pe jane se darr lagta hai aur tab tab tak lagta rahega tab tak ki aap stage me nahi chale jate. Aur jaise hi ek baar aap himmat karke stage pe chale jate hai dheere dheere aapka darr kum hota chala jayega. Aur fir ek din yehi darr khusi me badal jayegi. Jis stage pe jane se aap darte the ab usi stage me jane se aapko khushi ka ehshash hoga.
Ab mai aapko darr bhagane ka ek behtarin tarika batata hu.
Darr ko hum kis tarah se positive way me le sakte hai ? iske liye mai aapko ek udaharan deta hu.
Ek ladka apne dosto ke saath picnic manane ke liye gaya. waha pe uske sare dosto ne milkar adventure ke liye plan kiya. Karna ye tha ki ek uchi jagah se niche bane jheel pe chhalang lagani thi. Ab ek ek karke uske dosto ne chhalang lagana suru kiya. Ab jab uski bari aayi to niche gehrai ko dekhkar uske mann me ek darr paida hua, jo ki kisi ke liye bhi swabhawik si baat hai. Itni uchi jagah se chhalang lagana koi aasan baat to hai nahi. Wo baar baar himmat jutata chhalang lagane ke liye lekin niche gehrai ko dekhkar darr jata tha aur apna kadam peeche hata leta tha.
Ab kya hua ki uske baaki ke dost bhi peeche khade apni bari ka intzar kar raha tha aur baar baar use jaldi se jump lagane ke liye keh raha tha. Lekin jaise hi wo niche dekhta aage ka darr uspar hawi ho jata tha.
Ab kahani me twist ye hai ki jaise jaise uske peeche ke dost use niche jump karne ke liye keh raha tha waise waise uska mind ab dusre disha me jane laga. Ab wo ye sochne laga ki agar abhi jump nahi kiya to meri sabke saamne badi insult ho jayegi. Sab log zindagi bhar mujhe chidayenge tu tu darpok hai. Dosto ke samne meri fir kya ijjat reh jayegi.
Kehne ka matlab ye hai ki jo darr ab tak uske saamne khai ko dekhkar lag raha tha. Ab usse jyada darr usko is baat ka tha ki agar abhi jump nahi kiya to meri bahot badi insult ho jayegi. Ab dheere dheere uske mann me confident jagne laga ki chalo jo hoga dekha jayega jump kar hi deta hu. Aur logo ne bhi to kiya aur wo jheel me kitne maze kar rahe hai. Mai bhi kar sakta hu. Aur ye kehkar wo jump kar deta hai aur khub enjoy bhi karta hai.
Is kahani ka saar ye hai ki jabtak darr ko aap apne aage rakhenge tab tak aapko darr lagega aur jaise hi darr ko aap apne peeche le jayenge to darr apne aap khatam hota jayenge aur appme confident badedega aur experience bhi. Ab aap bhi dusre ko jump lagane ke liye prerit kar sakte hai kyuki aap us darr se guzar chuke hai. Darr ko apni takat banaye kamjori nahi darr ko apne peeche rakhiye aage nahi.
Aur jaha tak success ki baat hai. Success kisi mukam tak pahuchne ka naam nahi hai balki success chhoti chhoti baaton me hi chhipa hota hai. Success aapke aas pas me hi hai aapko bas apna najariya badalne ki jaroorat hai. Success apni nazar me bano dusro ko dikhane ke liye.
Jaroori nahi hai ki har koi Tata Bidla, Ambani, ya Bil Gate jaisa bane tabhi wo successful hoga. Humare saath problem ye hota hai ki starting se hi successful ka matlab hum galat samajhte aa rahe hai. Hume yehi lagta hai ki hum kisi khash mukam par pahuchenge tab successful ban jayenge. Jabki sachai ye hai ki jab tak aap us mukam par pahuchenge tab tak aapke liye successful ka meaning bhi change ho chuka hoga kyuki us waqt aapki khwaise badal chuka hoga. Us waqt us mukam par pahuchne ke baad bhi tab aapke liye successful ka matlab kuch aur hoga. Tab aapko sachmuch me is baat ka ehsash hoga ki aapne successful banne ke liye kya kya khoya hai. Tab aap success to honge lekin sirf dusre ki nazar me. Tab aap chahke bhi us pal ko wapas nahi la payenge jiski us waqt aapko talash hogi. Aaapke success ki khushi ko jiske saath share karna chah rahhe honge aap ke paas wo maa baap nahi honge. Aapke paas dost to honge lekin wo sirf business friend honge. Us waqt aapko jis dost ki talash hoga wo aapse bichhad chuka hoga ya fir uska aapke prati nazariya badal chuka hoga. Kyu wo apne aapko alag samajhne lagega.
Isliye jaroori ye hai ab aap jaha bhi hai. Apna nazariya abhi se badal ligiye. Koi bhi kaam kare chahe chhoti ho ya badi use khel samjhiye, jo bhi kare without pressure. Jaise ki aap bachpan me khelte the. Zindagi ke pakke khiladi bane. Khel khel me zindagi jeene me jo maza hai wo aur tarike me ho hi nahi sakta.
Successful banne ke liye apna vartmaan ko mat kho digiye. Successfull to ek sadak ka bheekhari bhi so sakta hai agar wo apni life me khush rehna sikh liya ho to.
Comments
http://akashsonirajpur.blogspot.in/2016/02/the-real-key-of-success-in-life-19.html from http://www.kautuhal.in/. As you know this is illegal and violation of Google terms so remove all my contents from your blog immediately otherwise i will take legal action.