Pichle kuch mahino me hume kayi chije aisa dekhne ko mila jisse saaf pata chalta hai ki desh badlaw chahta hai. chahe wo anna ka Aandolan ho ya Modi ji ka pradhanmantri banna.
Humare naye pradhanmantri ji bhi lagatar isi prayas me lage hue hai aur desh me badlaw ke liye athak pryas bhi kar rahe hai. Lekin sawal ye hai ki sirf akele pradhanmantri ke chahne se aur unke mehnat se sahi mayno me badlaw sambhaw hai kya. Kya desh ke logo ka koi farz nahi hai.
Kehne ko to humara desh aajad hai aur hum 21 vi sadi me ji rahe hai lekin ye sach nahi hai. desh abhi bhi mansik gulami me ji raha hai. Hum badlaw ki baat karte hai lekin sahi mayno me badlaw tabhi hoga jab chhote gaon se lekar bade shahar tak jamini star par badlaw hoga.
Jaha ek aur theth gaouno me mahilao ko ghunghat me kaid rakha jata hai to ek aur shaharo me mahilaye night club me dance karte hue nazar aati hai. Kahi par log aaj bhi bandhua majdoor hai to kahi aazad panchi ki tarah desh, videshon me ghumne wale log. Kya yehi aazadi hai. Kya is tarah se desh me badlaw hoga.
Sabse badi samashya to ye hai ki log khud ko badalna hi nahi chahte. Desh me aise logo ki bharmaar hai ki agar unko pradhanmantri khud aakar badlaw ke liye prerit kare tab bhi unpar kuch asar nahi hoga. Ha lekin sthiti ye hai ki agar koi sant ya baba unhe koi prerana de tab wo badal sakte hai.
Musibat to ye hai ki aaj log bhagwan se jyada Nirmal baba jaise logo me aashtha rakhte hai. Nirmal baba agar keh de ki bete samoshe ke saath hari chatni khao kripa hogi to log unki baat ko pathhar ki lakeer maan lete hai.
Aur agar aap unko koi practicaly idea denge to ulta aapka hi uphaas udayega. Aisi sthiti me badlaw ke bare me hum kaise soch kakte hai jab pade likhe log bhi babao ke jaal me buri tarah se fas jate hai.
Aur agar aap unko koi practicaly idea denge to ulta aapka hi uphaas udayega. Aisi sthiti me badlaw ke bare me hum kaise soch kakte hai jab pade likhe log bhi babao ke jaal me buri tarah se fas jate hai.
Rampal ko hirasat me lene ke baad ek reporter ne unke ek bhakt se pucha ki Rampal pe kayi bade aapradhik mamle hai aap kya kahenge ? Fir andh bhakt ne khud hi jaz banke ye kah diya ki sare aarop jhute hai. Baba ke yaha aane se hume mukti milti hai, baba hume parmatma se milwayenge. Reporter ne kaha lagta hai baba ne aap sab ka mind wash kar diya hai. Fir bhakt kehta hai ki aapko jo samajhna hai samjhiye humare liye to wohi bhagwan hai. Hume to wohi mukti dilwaenge.
Ye udaharan aapko isliye de raha hu ki humare desh me badlaw lana koi aashan kaam nahi hai. Agar sahi mayno me badlaw lana hai to aise logo ko badalna bahot jaroori hai kyuki inki sankhya bahot jyada hai desh me.
Agar gaoun me pariwar ke har sadasya ka faishla tauji hi karenge to fir hum kaise aajaz hai. Agar desh me kaanoon vyawastha rehte hue bhi panchayat hi apna farmaan jari karega to badlaw kaise aayega.
Sach to ye hai ki humara desh ka ek bada hissa aaj bhi andhvishwash ka gulam hai. Jab tak inme jagrukta nahi failaya jayega tab tak hum desh me badlaw ke bare me nahi soch sakte.
Ab baat karte hai solution ki.
1. Schools me teachers ki bharti ke niyamo me badlaw: Chuki hum desh me badlaw ki baat kar rahe hai to aise me sabse pehla humara kaam hona chahiye “bachho me badlaw” jo ki humara desh ka bhavishya hai. Aur bachho me badlaw ke liye maa baap ke baad sabse bada haat teachers ka hi hota hai. Chuki humare samaj me har tarah ke maa baap hai. koi jaagrook hai to badi maatra me wo khud andhvishwash ke gulaam hai. Aise me hum har parents se ye ummid nahi kar sakte ki wo bachho ko sahi margdarshan de payenge.
To dusra option bachta hai teachers. Ye sarkar ke haat me hai. Wo chahe to teachers ke chayan ki prakriya me badlaw lakar achhe teachers ki bharti kar sakte hai. Sarkar ko aise teachers ka chayan bilkul nahi karni chahiye jo ki khud andhvishwash ki beemari se grashit ho. Har school ke liye aise teachers ki bharti honi chahiye jo wakai me bachho ke bhavishya banane me saksham ho. We bachho ko aachunik shiksha ke saath saath sanskar ka bhi gyan de paye na ki andhvishwash ko aur badawa de. Agar bachho me jagrookta aa jayegi to desh me badlaw lane se koi nahi rok sakta hai.
2. Sarva shiksha abhiyaan yojna ka vishtar: Abhi bhi desh me lakho bachhe hai jo school nahi ja pate hai. Aur wo ya to baal majdoor hote hai ya sadak par bheekh mangte hai ya fir unhe sahi margdarshan na mil pane ke karan galat logo ke haathon me pad kar bhurai ka rashta apna lete hai.
Aise me aise bachho ka school me bharti hona bahot jaroori ho jata hai. Kyuki agar agar ye ek baar galat rashta me chale gaye to inko wapas lana bahot mushkil ho jayega. aur bade hokar yehi bachhe desh ke liye khatra ho sakta hai. Isliye sarkar ko inke liye bahot gambhirta se sochna hi hoga.
3. Andhvishwash ko jad se khatm karna:Mujhe lagra hai puri duniya me sabse jyada andhvishwashi log humare desh me hi hai. Tabhi to din pratidin dhongi babao ka business itna chamak raha hai. aise logo me badlaw lana jo dhongi babao ke changul me fanse hai bahot hi kathin lagta hai. Aise logo ko kewal unhi ke tariko se hi badla ja sakta hai.
Har kisi ke jivan me koi na koi aisa vyakti hota hai jinko wo apna aadarsh mante hai ya yu kahe ki unko follow karte hai, unka har baat manne ke liye wo taiyar ho jate hai. Jaise koi Salman khan ka fan hai to koi Honey singh ka to koi Baba Ramdev ka. kehne ka tatparya ye hai ki har kisi ke jivan me koi na koi aise vyakti hota hai jinka wo anusaran karte hai.
To bas yehi wo ek tarika hai jisse ki un logo me badlaw lane me saksham hai jo rasta bhatak gaye hai. Iske alawa wo kisi ka baat nahi manenge chahe aap kitna bhi samjhale. Lekin agar Salman khan apne fan se kuch apil kare to 90 % chance hai ki wo unko follow karenge. Sachin tendulkar agar apne fan se kisi baat ka apil kare to bahot jyada chance hai ki unke fan unke baat ko mane.
Agar desh me badlaw lana hai to sarkar ko har us vyakti se apil karni chahiye ki aap desh ke logo me badlaw lane ke liye apna sahayog de. Kyuki Amitabh bachhan ke aplil me jo dum hai wo aajkal teacher ke apil me nahi aur na hi parents ke.
4. Babao ko bhi sudharna hoga: Sarkar ko un babao se bhi apil karni chahiye ki kripaya aap apne niji swarth ke liye desh ke logo ko bhramit karna band kare. Aap chahe to apne bhakto ko sahi gyan dekar unke jivan me badlaw la sakte hai. To fir kyu aap logo ki kamjori ka, unke andhvishwashi hone ka aur unke bholepan ka faida uthakar sirf apne fayde ke liye unka istmaal karte hai. Aapka bhi desh ke prati kuch kartavya hai. Appko unka palan karna hi hoga. Kyuki aapke bhakt aakh mundkar aap pe jitna bharosha karte hai wo kisi aur pe nahi karte hai. We to itne bhole hote hai ki aapke kehne par we bachhe paida karne ke liye samose ke saath hari chatni bhi khane ko taiyar ho jate hai. To sochiye agar aap chahe to unhe sahi salah dekar kya kuch nahi kar sakte. So please aap desh ke liye, desh ke bhavishya ke liye aage aaye. Aakhirkaar ye desh bhi to aap hi ka hai baba ji.
Jai Hind
Comments