Kuch dino pehle youtube pe ek video release hua tha jisme dikhaya gaya tha ki ladkiyo ko ghurte hue ladke kaise dikhte hai. Mera ye post unke liye jawab hai. Mera manna hai ki agar hum wakai me samasyawon ka samadhaan chahte hai to hum sabko sudharna padega. Sirf ek dusre par aarop lagane se kuch nahi hoga.
Jaha tak ladkiyon ko ghurne ka sawal hai hum unse kehna chahte hai ki dekhne aur ghurne me bahot jyada fark hota hai.Hum khoobsurat chijon ko dekhte hai aur hot, sexy chijon ko ghurte hai. Agar ladkiya saari ya salwar shut pehnengi to ladke use khoobsurat nazariye se dekhenge aur agar ladkiyaan bhadkau dress pehenengi to jahir hai log unhe ghurenge.Agarkoi ladki chhoti skirt pehnti hai aur kamar pe tattoo banwake dikhati hai to use ye bilkul ummid nahi karni chahiye ki log unhe achhe nigaho se dekhe ya unpe achhi comment kare kyuki ye 100 % ladki pe dipend karta hai ki ladke use kis nazar se dekhe. Pehle to ladkiya ye bataye ki kamar pe tattoo banwane ki piche aur chhoti dress pehnne ke piche unka apna kya nazariya hai wo aisa karke kya dikhana chahti hai. Agar sherlyn chopra ya Poonam pandey ladko se ye ummid kare ki unpe achhe comment aaye to ye possible nahi hai kyuki wo achhe comment ke layak apna chhawi nahi banake rakhi hui hai. Hum ye nahi kehte ki aap chhoti dress nahi pehne lekin ek saath do chije nahi ho sakti. Ek taraf aap bhadkau dress pehnne ka shouk bhi rakhte hai aur dusri taraf ye bhi chahte hai ki log aapko achhi nigaho se dekhe to ye impossible hai. chahe kitne bhi sakht kanoon ban jaye firbhi kuch nahi ho sakta. Sakht kanoon se log aapko darr se izzat denge dil se nahi. Yehi sachai hai.
Chalo in sab baaton se ek baat to saabit hoti hai ki bhale hi kitna bhi hum paschimi sabhyata ko apnane ki koshish karte hai lekin dil se bharatiya hai, tabhi to jab koi ghoorte hai ya comment karte hai to hume kharab lagta hai. Upar se bhale hi hum western culture ko apnane lage hai lekin ye humpe puri tarah hawi kabhi nahi ho payega kyuki hum dil se bharatiya hai.
Comments