Skip to main content

Customize your mind to remove illusion which rise sorrow for you



Khush rehne ka sabse best tarika ye hai ki aap apne mind ko customize karna sikh le. Agar aapne ye karna sikh liya to aap kabhi bhi dukhi nahi honge.Kyuki dunia me jitne bhi problems hai sara khel is mind ka hi hai.Humara sukh-dukh sab kuch isi mind se juda hua hai.
Isliye agar hum apne mind ko kisi bhi situation ke hisab se customize karna sikh le to dukh ka koi karan hi paida nahi hoga.
Sabse pehle baat karte hai ki hum dukhi kyu hote hai ? Iska seedha sa uttar ye hoga ki hum dukhi tabhi hote hai jab koi chij humare anusar nahi hota hai. Aisi chij ya ghatna ka ho jana jo aapke mind ko pasand na ho ya yu kahe ki aapke mind ke khilap ho yehi humara dukh ka mukhya karan hota hai.
Udaharan ke liye aapne apne bachcho ke liye apne man me bahot sare sapne sajaye rakhe hai. Ye sapne kuch bhi ho sakta hai jaise mujhe apne bete ko doctor banana hai ya fir unke shaadi liye pehle se hi ladki pasand karke rakha hai, ya fir ye ummid palke rakhe hai ki bade hokar meri budape ki lathi banega aur mera seva karega bla bla bla jo ki normally har maa baap sochte hai.
Aur fir hota hai bilkul iska ulta. Is situation me dukh ka hona to swabhawik hai. Yaha tak to samajh me aata hai aur ye baat koi nayi bhi nahi hai har kisi ko pata hai.
Lekin baat yaha se suru hoti hai ki aise situation me kya Kare ? Kya ye soch soch ke rote rahe, kya apne bachcho ko ghar se nikal de ya fir kuch aur ?
Koi bhi dukh panapne ka mukhya karan hi hai ki humara mind bahot sare illusions ka shikar hota hai. Ye illusions is had tak gehri hoti hai ki hum reality ko dekhkar bhi andekha kar dete hai.
Aisa mat sochiye ki illusion ka shikar sirf anpad log hi hai aur gaon me rehne wale log hi hote hai. Ye aapka bhram hai. Ye reality hai ki humare desh ka lagbhag har vyakti kisi na kisi illusion ka shikar hai. Koi rudiwadi soch ka to koi apne man me pale hue vicharo ka. Ye aise vichar hote hai jo reality se kosho door hote hai lekin aapke dil ke karib hote hai. Aur reality ke saamne aate hi jaise hi aapke illusion tutte hai aap dukhi ho jate hai.
Ab baat karte hai solution ki. Ki hum dukhi hone se kaise bach sakte hai.
Pehla kaam to ye hai ki aap apne man me kisi bhi tarah ka illusions ko panapne hi na de. Aap jo kuchh bhi kare sab kuch reality ke base pe honi chahiye. Agar aap reality ke base pe koi bhi kaam ki suruaat karenge to aapko kabhi dukh nahi hoga ya bahot ki kum se kum hoga. Jaise ghar me kisi ki mrityu ho jati hai to hum rote hai. Isme bhi illusion hai lekin kuch din ya mahino ke baad fir hum sab bhoolkar normal zindagi jine lagte hai, ye reality hai. Lekin jo vyakti is illusion se bahar hi nahi nikal pate hai uska dukh kabhi kum nahi hota hai aur Wo depresion me chale jate hai.
Jis tarah hum apne mobile apps ko apne hisab se customize karte hai thik usi tarah se hume apne mind apps ko bhi customize karne ki jaroorat hai. Jis tarah hum apne mobile me sirf jaroori files ya apps ko hi rakhte hai aur un hevey files ko delete kar dete hai jinki wajah se humara mobile hang kar jata hai thik usi tarah se hume un sare heavy files aur apps ko humare mind se bhi nikalke fenkna hoga tabhi humara man shant aur khush reh sakte hai.
Mobile ki tarah hi humara mind me bhi storage hota hai aur jaise jaise ye storage me heavy files upload hote jate hai humara mind kaam karna band kar deta hai aur hum dukhi hote jate hai.
Ab baat karte hai ki ye mind apps kya kya hai.
1. Ye mind apps hai humara past ki ghatnaye jo ki hume beech beech me yaad aati rehti hai aur hume sukh aur dukh dono ka aabhash karata hai.
2. Humara present ka work jo hum har roz karte hai hai. Chahe wo office ka kaam ho ya ghar ka.
3. Teesra hai humara future ka sapna. Ye ek aisa app hai jo humesha background me chalta rehta hai running application ki tarah. Ye sabse khatarnaak apps hote hai jo hume jyada dukhi karta hai.
4. Aur choutha hai humara illusions jo ki bachpan se hi humare mind me thuns thuns ke itna bhara hua hai ki aur kuch rakhne ke liye jagah hi nahi bacha hai.
Ab baat karte hai uprokt charo points se kaise nipta jaye.
1. Kai budhhijivi log aksar hume ye rai dete hai ki purani baaton ko yaad mat karo use bhool jao future ki socho aur zindagi me aage bado. Lekin is mamle me mera vichar thoda alag hai. Humara mind ka function aisa hai hi nahi ki hum purani baato ko sochna band kar de ya use bhool jaye. Aisa bas ek hi situation me posible hai jab humara yaddast chali jaye. To mera ye manna hai ki hum purani baato ko bhulane ki wajay hum sirf un purani baaton ko yaar kare jab humare saath kuch achha hua tha. Halaki hume wo baate bhi yaad aayengi jab humare saath kuch bura experience hua tha. Lekin in yaadon ko humare mann me hawi nahi hone dena hai. Jaise hi ye baate humare mind me aayenge usi waqt hum un baaton ko yaad karne ki kosish karenge jab humare saath kuch achha hua tha. Itni badi life me agar kuch bura hua hai to kuch na kuch achha to jaroor hua hoga. Hum un baato ko yaad karke positive reh sakte hai aur apna energy level bahot had tak bada sakte hai. Ye achhi baate bhale hi purani ho lekin hume humara achhai ka yaad dilata hai. Yehi achhai hume jivan me ladne ka shakti deta hai aur hume kabhi tutne nahi deta hai. Agar vishwash nahi hota to aap practically ise aajma ke dekh lena. Jab bhi kabhi aapke saath kuch bura ho us waqt aap apne past me hue achhe experience ko yaad kar lena aap dekhoge ki aapko us sitiation se ladne ke liye wahi energy kaam karti hai.
2. Humara roz marra ki kaam. Chahe ghar ka kaam ho ya office ka jabtak hum kaam ko duty samajhkar karenge hume us kaam se stress hi milega. Mera manna hai ki hum kaam ko kaam na samjhe. Ji haa sunne me ye ajib lag raha hoga aapko lekin ye sach hai. Jab tak hum kaam ko sirf apna duty samajh kar ya presure me aakar karte rahenge tabtak hume achhe output ki wajah sirf stress hi milega. Hum baat baat me ye kehte hue sunte hai ki free mind me kaam karo to kaam sahi se hoga. Ye free mind kya hai ? Free mind kiska hota hai. Humara mind me to itna sara keeda bhara hua hota hai ki ye kabhi free ho hi nahi sakta hai. To kare kya ? Iska jawab bahot hi simple hai. Hume bachche banke kaam karna padega kyuiki free mind sirf bachcho ka hi hota hai. Kai baar aapne note kiya hoga ki bachche khel khl me aise aise kaam kar jate hai ki aap achambheet reh jate hai. We aisa isliye kar pate hai ki unka mind free hota hai. Wo kaam ko khel khel me kar jate hai aur hum apna sada hua dimag lagate reh jate hai. Aur soch soch me puri zindagi guzar dete hai.
3. Teesra karan ye hai ki hum future ke baare me sochne me itna jyada busy ho jate hai ki hum present ke achhe palo ko kho dete hai. Bhai future ke baare me sochne me itna vyast rahoge to jeeoge kab. Hum future me itna jyada busy hote hai ki hum har kaam ko future ke saath jodke karne lag jate hai. Kaam ko bas kaam ki tarah karte rehte hai. Apne future ke sapne ke liye present ke khushi ke palo ko kuchalkar bail ki tarah kaam karte rehte hai. Hum ye nahi kehte ki aap future ke sapne dekhna chorde. Lekin hum storage se jyada aplications nahi daal sakte apne mobile me. Ya to aap apne jaroorat ke chhote chhote apps download kare ya fir ek hi badi movie ki file download kare. Aaap dono chije ek saath nahi kar sakte. Iska seedha matlab ye hai ki ya to aap chhote chhote bahot se sapne dekhe jo ki aasan ho ya fir ek hi bada lakshya rakhe aur usi me apna puri takat lagade.
Agar aap chahte hai ki nahi mujhe dono hi chije karni hai. Chhote chhote sapne ke saath saath bahot bade bade sapne bhi pure karne hai. To iske liye aapko apna storage ko badana padega. Ye bada storage kya hai ? Humara experience. Jaise jaise humara experince badta jata hai humare storage bhi badta jata hai.
4. Aur choutha hai humara illusions. Iska tootna bahot hi jaroori hai. Jabtak ye tutta nahi hai tabtak ye aapko life me aage nahi badne deta. Bachpan se leke abtak aapne jo kuch bhi suna hai ya sikha hai usko reallity ke base pe review karna bahot hi jaroori hai. Nahi to dunia bahot aage nikal jayegi aur aap bhram me hi jeete rahenge.
Isliye mera manna yehi hai ki ab tak jo ho gaya so ho gaya lekin ab hum sabko apne aapko dubara se riview karne ki jaroorat hai. Bachpan se humare mind me jo bhi programming ki hui hai aur jinki wajah se illusions create hue hai un sab ko dubara se reality ke base pe review karne ki jaroorat hai. Tabhi hum sab khush reh sakte hai. Nahi to humesha ki tarah dukho ka peetara leke ghumte rahenge zindagi bhar.

Comments

Popular posts from this blog

Apne Friends Me Interesting Kaise Bane

Friends ke beech me interesting banna chahte ho jisse har koi aapko love kare? Har koi kahe ki aap mean nahi ho, wild nahi ho… but interesting jaroor ho. Or interesting kaise banna jaa sakta hai… simple doston aapki information interesting honi chahiye, aapki hobbies, bolne ka style, laughing everything interesting hona chahiye tabhi doston ke beech me aap alag or interesting najar aaoge or everyone loves you. So guys inhi baato se related aaj hum aapke sath “ Apne Friends Me Interesting Kaise Bane | Tips ” topic share karne jaa rahe hai. Iss article ko full read kar ke interesting banne ke ideas ko jaroor dekhe. Hobby Ka Hona Jaroori Hobby kuch aisi jo fun and cool ho . Taki aapke sath sath aapke friendz bhi enjoy kar sake or keh sake ki what a interesting person . Good hobbies me aap sewing, creative writing, sports, music and dance ko add kar sakte ho. So guys agar aapki hobbies hi interesting hogi to aap khud hi interesting najar aaoge or friends ke beech me
सवाचता अभियान    को लेकर अखिल भारतीय विद्यार्थी परिषद् मदन में पावागद दर्शन 

Rape reason & solution – बलात्कार – एक गंभीर मुद्दा और उसका हल

Lo ek aur news aa gayi balatkar ki. News walo ko news mil gayi, hum thodi der ke liye dukhi hue, police apni na khatam hone wali karwai pe joot gayi aur rajneetik dalon ko apni rajniti chankane ka ek aur mouka. Bas yehi to ho raha hai aajkal desh me. Aaye din aisi balatkar ki ghatnao ke baare me sunkar man karta hai kursi par baithe humare rajnetao ki kaan khichkar unhe jamin par le aau par kya kare humari bhi kuch daayre hai.  Sabse bura to tab lagta hai jab ye sunte ko milta hai ki ek baap ne beti ka balatkaar kar liya. Behan apne bhai ke haiwaniyat ka shikaar ban gayi. Hum sochne pe majboor ho jate hai ki desh me ye kya ho raha hai. Hum to sarkar ko koste rahte hai lekin ye na bhule ki in sab ke liye humsab bhi kum jimmedaar nahi  hai.Mai  to kahunga hum hi jimmedaar hai humara samaj hi jimmedaar hai. Hume pata hai ki sarkar kuch nahi kar rahi hai fir kyu hum unhipar baar baar ummid lagaye baithte hai, jab hume pata hai ki sarkar soyi hui hai to kyu hum India Gate Pe cand