Skip to main content

Addiction bad or good manners? लत बुरी या अच्छी आदत

Har vyakti chahe aap ho ya mai kisi na kisi lat ka shikar hote hi hai. Lekin sawal ye hai ki lat lagna ek achi aadat hai ya buri ? Ye tay karna sayad sabke liye alag alag ho. Normally hum yehi sunte aaye hai ki lat lagna buri aadat hai. Insan ko kisi chij ka lat nahi lagana chahiye. Halaki ye lat buri ya achhi dono hi ho sakti hai aur situation ke hisab se badalti bhi rehti hai.
Mera ye manna hai ki jab aap apni dil ki sunke koi bhi kaam puri lagan se karte jate hai use hi lat kahte hai. Jaise aapko koi TV show (bachpan me Krishna aur Mahabharat ko hi le ligiye) ya koi book bahot jyada pasand aa gaya aur aapki situation aisi hai ki aap ise dekhe ya pade bina nahi reh sakte. Ya fir sharab ya sigrate ki lat jise aap chhor nahi sakte. Yani ki dono hi case me aapko kisi vyakti ya wastu se dil se lagaw ho jata hai aur aap use bahot jyada pasand karne lagte hai aur fir aapko us vyakti ya wastu ki lat lag jati hai.
Jab hum ye kehte hai ki insan ko dil se sochna chahiye aur dil ki karni chahiye kyuki dil humesha right hota hai. Fir kisi chij ka lat lagna bura kaise ho sakta hai ?
Insan tabtak koi bhi kaam puri shradhha aur lagan se nahi kar sakta jab jak ki use us kaam ko karne me achha na lage ya use karke khushi na mile. Yani ki agar kisi vyakti ko kisi chij ka lat hai to ye kisi dusre vyakti ya wastu ke liye achha ya bura ho sakta hai lekin us vyakti ke hisab se to achha hi hai kyuki use us kaam me dilchaspi hai aur wo use dil se karna pasand karta hai.
Is dunia me sari ladayi to isi baat ka hai ki aapko jo pasand nahi hai aap use swikar nahi kar sakte aur agar wo chij koi aur kare to aap use swikar nahi kar sakte. Yani ki aap us vyakti ko dil se bardast nahi kar sakte kyuki wo aapke vipreet swabhav ke hai. Dusri taraf wo bhi aapko swikar nahi sakte kyuki aap unke liye veeprit swabhaw ke hai.
To fir is beech me achhai ya burai kaha se aa gayi. Ye pasand aur na pasand ki baat ho sakti hai lekin achhai ya burai ka nahi.
Mere manna hai ki koi vyakti ya wastu bura hai is baat ka decide sirf ek hi sart par ki jani chahiye agar us vyakti ya wastu se kisi dusre vyakti ko saririk ya mansik nuksan pahuchta ho. Kyuki ek hi chij different situation ke hisab se achha ya bura ho sakta hai. Udaharan ke liye agar kisi dharm sthal par baith ke koi sharab piye tab ye baat buri hai lekin wahi sarab agar beer baar me jake piye to isse hum buri nahi keh sakte kyuki ye uske liye sahi jagah hoga aur isse kisi dusre vyakti ka mansik nuksan bhi nahi hoga kyuki uske aas pass sare sarabhi hi honge. Dusri taraf agar beer baar me koi bhakti gana baja de to ye buri baat hogi kyuki ye gana us waqt un sarabiyo ke liye maansik haani pahuchayega. halaki yehi gana usi vyakti ke liye achha bhi ho sakta hai jab wo ye gana kisi dharm sthal pe ya kisi dusre jagah jake sun raha hoga.
Mera kehne ka sidha matlab yehi hai ki aap aur mere paas is baat ka decide karne ka adhikar nahi hona chahiye ki koi bhi vyakti ya wastu achhi ya buri hai. Aap ye decide tabhi kar sakte hai jab aapko ya kisi aur ko us vyakti ya wastu se saririk ya mansik nuksan pahuch raha ho.
Yaha pe main ek baat spasht kar dena chahta hu ki main kisi bhi prakar se kisi ko bhi sharab peene ke liye uksa nahi raha hu. Mai bas saral example ke dwara sirf ye batane ka prayas kar raha hu ki kisi ko bhi kisi vyakti ya wastu ke bare me bina soche samjhe direct bura bhala nahi kehni chahiye. Har kisi ko apna pakshchh rakhne ka mouka jaroor milni chahiye. Isse baat banti hai bigadti nahi hai. Kyuki agar aap sirf isliye directly kisi ko kuch bhi bol dete ho kyuki wo chij aapke hisab se sahi nahi hai ya aapko achha nahi lagta to samne wala lagna hi lagna hai. Aur is tarah se behash chhedti hai aur fir baat bad jati hai.
Jo bhi ho lekin ek baat to spast hai ki agar aapko kisi chij ka lat hai chahe wo kisi bhi chij ka kyu na ho. Iska matlab ki aapme ek bahot hi khash khubi hai. Wo ye ki aapke andar ekagrata hai aapme kaam karne ki lagan hai. Aapme wo kabiliyat hai jisse ki aap chahe to kisi bhi khetra me aage bad sakte hai.
Lat ya aadat situation ke anusaar banta hai. Jaruri nahi hai ki agar koi vyakti sharabi hai to wo zindagi bhar sharabi hi rahega. Ho sakta hai ki kisi din wo ek mahan yogi ban jaye. Ye depend karta hai sirf aur sirf situation ke anusaar. Ye kehna galat hai ki koi vyakti achha ya bura bane ye unke haath me hai. Asal me aaj ke mahoul me insaan me wo patience nahi bacha hai ki wo apne aapko apne hisab se baandhkar rakhe.
Insaan chahe kitni bhi koshish kar le wo mahoul ke hisab se badal hi jata hai. Kisi vyakti ya wastu me badlaw uske aas pass ke mahoul se hi hota hai. Udaharan ke liye agar aapke ghar me puja path wala mahoul ho ghar ke sare log din bhar bhagwan ki bhakti ki baat karta ho to aap chahe ya na chahe usi roop me dhal hi jate hai. aisa 99 % case me hota hi hai. Gine chune log hi honge jo situation ke anusaar apne aapko nahi badal pate ya nahi badalte.
Agar aapko kisi chij ka lat nahi hai to aap zindagi ko achhe se ji nahi payenge kyuki aap koi bhi kaam pure lagan ke saath nahi kar paynge.
Insan ka ye fitrat hota hai ki jabtak wo kisi chij ko jo use pasand hai puri tarah se pa na le tab tak wo uske baare me sochta rehta hai aur is chakkar me wo kisi aur kaam me man nahi laga pata hai. Isliye jaroori hai ki aapko agar koi chij pasand hai aur aap use karna ya pana chahte hai to aap uska lat laga ligiye kyuki jab tak aap kisi chij ka lat nahi lagayenge tab tak aap us chij se peecha nahi chhuda sakte. Aap tabtak kisi chij ko karte rahe jab tak ki aap karte karte bore na ho jaya aur aapka dil khud kahe ki nahi ab aur nahi kar sakta. Agar aapko mithai khane ka lat hai. To aap ek din itna mithai khaiye ki aap khate khate bore ho jaye aur aap ko mithai se nafrat ho jaye. Yehi ek tarika hai kisi bhi buri lat ko chudana.
Aaj insan ke andar sabse bada rog ye hai ki wo apni khwaiso ko apne ander dabake rakhta hai aur isi karan dheere dhhere unke andar chidchidapan aa jata hai. Ye bahot khatarnak bimari hai kyuki aisi sthiti me aap man hi man bahot ghutan mehsoosh karte hai aur iska asar dheere dheere aapke aas paas ke logo par bhi padne lagta hai. Chhoti chhoti baaton pe gussa karna, kisi se panga le lena iska lat pad jata hai aapko.
To jaroori hai ki is buri lat se agar bachna hai to aap aisi lat lagaye jo aapka dil chahta hai aur aapko wo karne me achha lagta hai. Chhoro dunia ko sirf apni dil ki suno aur wahi karo jo aapka dil sach me karna chahta hai chahe wo aapke liye achhi ho ya buri. Kyuki sachai ye hi hai ki aap jitna apni khwaish ko dabane ki koshish karenge utna hi wo aapka peecha karega aur aap utna hi jyada pareshan honge.
Kyuki jabtak aapki andar ki ichhayen aapka peecha karti rahegi tabtak na hi aap khush reh payenge aur na hi aap apne family ko khushi de payenge. Agar aap dunia ko khush dekhna chahte hai to pehle aap apne aapko khush rakhiye. Kyuki ander se aap jaisa honge bahar se dunia bhi aapko waisi hi dikhegi.
Mujhe malum hai ki upyuk baaton se aap shayad sehmat nahi bhi ho sakte kyuki mere is lekh me kahi na kahi humare Indian soical values ko darkinar kiya gaya hai. Lekin mera manna hai ki social values apni jagah hai. Social values ko humne hi create kiya hai bhagwan god ya allah ne nahi. Emotions humara khud ka creation nahi hai. Agar bhagwan ne hume emotion diya hai to besak soch samajh ke hi diya hoga aur agar hum apne emotions ko dabakar rakhe to ye prakriti ke niyamo ke khilaf hoga.
Mai samaj, dharm ya kisi ka bhi virodhi nahi hu lekin mera manna hai ki prakriti ne hume banaya aur sirf prakiti ko chhorkar humne baki sabkuch banaya chahe wo samaj ho dharm ho ya kuch aur lekin durbhagya ye hai ki jisne hume banaya unke rule ko follow nahi karke hum sirf apne hi banaye rules ko follow kar rahe hai chahe wo prakriti ke khilaf hi kyu na ho. Hum samaj ya dharm ki dar se prakriti ke niyamo ko hi palan karna bhul jate hai aur apne andar ki sachhi emotions jo ki aapka dil chahta hai kahi na kahi zindagi bhar apne ander hi dabake rakhte hai.

Comments

Popular posts from this blog

Apne Friends Me Interesting Kaise Bane

Friends ke beech me interesting banna chahte ho jisse har koi aapko love kare? Har koi kahe ki aap mean nahi ho, wild nahi ho… but interesting jaroor ho. Or interesting kaise banna jaa sakta hai… simple doston aapki information interesting honi chahiye, aapki hobbies, bolne ka style, laughing everything interesting hona chahiye tabhi doston ke beech me aap alag or interesting najar aaoge or everyone loves you. So guys inhi baato se related aaj hum aapke sath “ Apne Friends Me Interesting Kaise Bane | Tips ” topic share karne jaa rahe hai. Iss article ko full read kar ke interesting banne ke ideas ko jaroor dekhe. Hobby Ka Hona Jaroori Hobby kuch aisi jo fun and cool ho . Taki aapke sath sath aapke friendz bhi enjoy kar sake or keh sake ki what a interesting person . Good hobbies me aap sewing, creative writing, sports, music and dance ko add kar sakte ho. So guys agar aapki hobbies hi interesting hogi to aap khud hi interesting najar aaoge or friends ke beech me
सवाचता अभियान    को लेकर अखिल भारतीय विद्यार्थी परिषद् मदन में पावागद दर्शन 

Rape reason & solution – बलात्कार – एक गंभीर मुद्दा और उसका हल

Lo ek aur news aa gayi balatkar ki. News walo ko news mil gayi, hum thodi der ke liye dukhi hue, police apni na khatam hone wali karwai pe joot gayi aur rajneetik dalon ko apni rajniti chankane ka ek aur mouka. Bas yehi to ho raha hai aajkal desh me. Aaye din aisi balatkar ki ghatnao ke baare me sunkar man karta hai kursi par baithe humare rajnetao ki kaan khichkar unhe jamin par le aau par kya kare humari bhi kuch daayre hai.  Sabse bura to tab lagta hai jab ye sunte ko milta hai ki ek baap ne beti ka balatkaar kar liya. Behan apne bhai ke haiwaniyat ka shikaar ban gayi. Hum sochne pe majboor ho jate hai ki desh me ye kya ho raha hai. Hum to sarkar ko koste rahte hai lekin ye na bhule ki in sab ke liye humsab bhi kum jimmedaar nahi  hai.Mai  to kahunga hum hi jimmedaar hai humara samaj hi jimmedaar hai. Hume pata hai ki sarkar kuch nahi kar rahi hai fir kyu hum unhipar baar baar ummid lagaye baithte hai, jab hume pata hai ki sarkar soyi hui hai to kyu hum India Gate Pe cand