Skip to main content

Rape reason & solution – बलात्कार – एक गंभीर मुद्दा और उसका हल



Lo ek aur news aa gayi balatkar ki. News walo ko news mil gayi, hum thodi der ke liye dukhi hue, police apni na khatam hone wali karwai pe joot gayi aur rajneetik dalon ko apni rajniti chankane ka ek aur mouka. Bas yehi to ho raha hai aajkal desh me. Aaye din aisi balatkar ki ghatnao ke baare me sunkar man karta hai kursi par baithe humare rajnetao ki kaan khichkar unhe jamin par le aau par kya kare humari bhi kuch daayre hai.  Sabse bura to tab lagta hai jab ye sunte ko milta hai ki ek baap ne beti ka balatkaar kar liya. Behan apne bhai ke haiwaniyat ka shikaar ban gayi. Hum sochne pe majboor ho jate hai ki desh me ye kya ho raha hai.
Hum to sarkar ko koste rahte hai lekin ye na bhule ki in sab ke liye humsab bhi kum jimmedaar nahi hai.Mai to kahunga hum hi jimmedaar hai humara samaj hi jimmedaar hai. Hume pata hai ki sarkar kuch nahi kar rahi hai fir kyu hum unhipar baar baar ummid lagaye baithte hai, jab hume pata hai ki sarkar soyi hui hai to kyu hum India Gate Pe candle march karke unhe jagane ki bekar prayas karte hai, kyu hum khud nahi jaag jate aur thaan lete ki ab se hum aisi ghatna hone nahi denge. Iska ek hi karan hai ki hum sab apni apni jimmebari se bhagte hai ya use nibhane se darte hai. Nahi to kon si aisa samashya hai jo hum khud nahi suljha sakte. Lekin aisa nahi ho pata hai kyuki har koi yehi sochta hai ki hume kya padi hai, jo ho rahai hai hone do,  faaltu me pereshani ko ghar bulane ki kya jaroorat hai aur agar koi kuch karne ko sochta bhi hai to bechare ki aisi haalat bana di jati hai ki wo sochne ke layak bhi nahi rehta hai.
Aajtak humne baalatkaar jaisi ghatnao par bahut se news sune hai aur unpar bahas bhi lekin ab tak iska koi solution nahi nikal paya hai. Abhi bhi aisi gambhir apradh har roj ho rahe hai. Is post ke jariye maine balatkar ko vakay me kaisa roka ja sakta hai iska sahi uttar likhne ka prayas kiya hai.
Mere hisab se har samashya ka samadhan hai agar sahi samay par sahi kadam uthaya jaye. Lekin humara dhyan sahi kadam uthane ki wajay TV channel pe chal rahi debet pe hota hai, aur fir hum bhi apne yaar dost ke saath milkar apna debet chalane lag jate hai. Koi iska dosh bollywood me aslilta ko deta hai to koi porn movies ko aur humare  kayi budhhijivi log to mahilao ke pehnave ko hi sara dosh de dete hai. Bade bade pade likhe log bhi aise aise betuki bayan dete hai ki sunkar hairani hoti hai aur saq hota hai ki ye vakay me educated hai ya fake certificate leke paas hua hai. Aur humare kai netaji to ye tak keh dete hai ki balakariyon se galti ho jati hai. Ab bataye aise log kya desh ki seva karenge, kaise wo mahilaon ka suraksha karenge. Behas aur galat bayanbaaji to bahut hota hai lekin aajtak rape ki asli wajah par kisine charcha nahi ki.
Bhale hi log Porn movies, Bollywood, Shrab, Mahilaon ke pehnave ko rape ki wajah mante ho lekin main in sab chijo ko rape ki wajah nahi maanta hu kyuki har porn movies dekhne wala balatkaari nahi hota, har sharabi bhi balatkari nahi hota, aur har chhoti skirt pehanne wali mahilao ka balatkaar nahi hota. agar aisa hota to gaoun ki mahilaon ke saath aisa ghatnaye nahi hoti, nabalik bachiyon ke saath balatkaar nahi hota. Kuch log ye bhi tark dete hai ki aslil chije dekh dekhkar jab aslilta unpe haawi ho jata hai tab wo aisi ghatnao ko anjaam dete hai. Ye sach hai lekin iske liye kahi na kahi dosh parivar aur samaj ka hai. Aaaj ke mahoul me aap na hi porn movies par ban laga sakte hai aur na hi bollywood pe. Aaj ke jamane me aslil chije kon nahi dekhta agar aap keh rahe hai ki aap nahi dekhte to aap jhoot bol rahe hai. Lekin samashya ye nahi hai ki aslilta iski wajah hai. Aisi movies to mai bhi dekhta hu lekin aajtak maine kabhi kisi ka balatkaar nahi kiya na hi kisi mahila se chhedkhaani ki hai. Kyu ? kyuki aisa karne se mujhe mere parivar aur samaj dwara diye gaye sanskaar rokta hai. Bhale hi mai kitne nashe me rahu firbhi mai kisi mahila se durvyavahaar nahi karta kyuki bachpan me diye gaye pyaar aur sanskaar mujhe kuch bhi galat karne se baar baar rokta hai. Mai aapko ye bata du ki mai yaha aslilta ko kisi bhi tarah se badawa nahi de raha hu, mai sirf itna kehne ka koshis kar raha hu ki jo chij humare haath me hai hum unpar dhyaan dene ki wajah aisi chijo ke peeche pade rehte hai jo humare haath me hai. Hum aslil chijo ko rok nahi sakte lekin hum apne apne parivar ko to achhi sankar to de hi sakte hai. Fir kyu hum faaltu ke behas me padkar apna time kharab kare. Hum sab agar apne apne parivar ko hi sudhar le to fir koi kitni bhi aslilta failakar hume behkaane ki koshis kare hum nahi behkenge. Aur fir kyu hum bollywood ya pornography ko ya sarab ko dosh dete hai jabki hum hi “Jism 2″ ya “Murder” jaisi movie hit karate hai ? kyu aajkal log mobile me bhakti gaane ki jagah porn movies download karte hai ? kyu mother dairy se jyada bheed sarab ke theke me dekhne ko milta hai ? Kyu Google me sachin tendulkar se jyada sunny leone ko search kiya jata hai. Isi se pata chalta hai ki samay ke saath saath ab humara samaj bhi kitna badal chuka hai. Ab wo dour nahi raha ki mugal e aajam jaisi movies box office pe hit ho, ab “Tu ganga ki mouj me jamuna ki dhara” jaisi gaane hit nahi hote. Isiliye ye kehna ki bollywood ne ya fir pornography ne samaj ko bigada hai, ye baat sahi nahi hai. Kisi ne kisi ko nahi bigada hai balki logo ki demand badal gayi hai.
Mahabharat ya Ramayan ke jamane me na hi Bollywood tha na hi skirt pehanne wali ladkiya, firbhi Droupadi ka washtra haran hua tha, firbhi Sita haran hua tha. Kehne ka tatparya ye hai ki reason ko samajhne ke liye humare paas itihaas bhi gawah hai lekin kahi na kahi hum use miss kar rahe hai.
Aap Mahabharat se Duryodhan aur Dushasan ka hi udaharan le ligiye.Duryoghan ka matlab hota hai jinke paas bahot dhan ho aur Dushasan ka matlab hota hai jisko shasan karna kathin ho. Mera manna hai ki yehi do prakar ke log apradh karte hai. Ek wo jo daulat ke nashe me chur ho aur dusra jo bigdail ho jisko shasan karna kadhin ho, jinko achhe sanskar na mila ho. Is prakar ke logo ki mansikta aisi hoti hai ki agar aap inhe dinbhar bhakti gana sunayenge firbhi nahi sudhrenge. Kyuki iski suruati parvarish hi galat tarike se hua hai. Ramayan me Ravan ki bhi yehi kahani hai. Beshak wo mahapandit tha lekin wo bhi doulat ke nashe me chur tha isi karan se wo apradh karne se nahi darta tha.
Mai kehta hu aajtak to humne is vishay par bahot behas suni hai aur ki hai lekin kuch mila kya ? koi sudhar hua kya ? Jawab hai nahi. Apradhi apna kaam kiye ja raha hai aur samaj khoup me ji raha hai. Mahilaye ghar se bahar nikalne me so baar sochti hai. Raat me to kya din me bhi darti hai aur unke saath saath unka pura parivar. Dekha jaye to har parivar khoup me jita hai. Bahar niklo to bhagwan bharose.
Mai kehta hu hum aise mahoul me kyu nahi ji sakte jaha darr nahi sukun ho. Hoga badlaw jaroor hoga hum ummid nahi chhorenge. Samaj me bahot takat hai wo chahe to aisa apne aas paas aisa mahoul fir se bana de.
Kya kare ek aisi samaj ka nirman ke liye jaha mahilaye surakshit ho:
1. Parents: Hur parents ho chahiye ki wo apne bachho ko bachpan se hi achhe sanskaar
de, unhe achhe mahoul me rakhe.Unhe bachpan se hi chhoti si chhoti galti karne se
roke taki bade hoke use galti karne ki aadat na pad jaye. Kyuki bachpan hi ek aisa
stage hota hai jiski yaad hume marte damm tak peecha nahi chudta hai. Isliye ye
sabse mahatwapurn hai. Parents aksar bachho ke galtiyo ko ignore kar dete hai yehi
unki sabse badi bhool hoti hai. Us waqt unhe iska ehsas to nahi hota lekin kahi na kahi
iska asar hume future me dikhta hai.
2. Parivar ki bhumika: Dusra bada jimmedari parivar ka hota hai. Hume is baat ko
maanna padega. Desh ke har parivar ki ye jimmedaari hai ki yadi unke parivar ka koi
bhi sadasya agar koi bhi galti kare to parivar ke anya sare sadasyon ki ye
jimmedaari banti hai ki we unka sahi marg darshan kare. Ye sab chije achanak se nahi
ho sakti. Hume suru se hi is baat ka dhyan rakhna padega. Aap bachpan se unke
galtiyon pe parda daalte rahe aur fir achanak aap chahenge ki bade hokar wo galti na
kare to ye ho hi nahi sakta.
3. Samaj ki jimmedari: Agar kisi parivar me jyadatar sadasya hi belagam hai tab
jimmebaari samaj pe aakar tikta hai. Tab pure samaj ko chahiye ki us parivar ka sahi
margdarsan kare aur jarrorat padne par unhe samaj se bahishkar bhi kar de taaki unka
dusprabhav dusre parivar pe na pad jaye. Ye bahut bada virus hota hai, agar ye kaam
sahi samay par nahi kiya jaye to inhe rokna bahot muskil hota hai.
4. Sahi soch ki kami: Bhale hi hum 21 vi sadi me ji rahe ho lekin humare samaj ki soch
abhi tak bahot chhoti hai. Hum abhi tak is bram me hai ki agar ladka ladki me jyada
milna julna, jyada  lagav thik baat nahi hai. Isi soch ke kaaran jaise jaise ladka ladki bade
hote jate hai hum unme doori banane ki koshish karte jaate hai. Yaha tak ki unke liye
school college bhi alag hote hai. Ha bhale bade shaharo me ye kum dikhne ko milta hai
lekin aaj bhi chhote shaharo me aisi vyavastha hai. Hum suru se hi unhe ek dusre se
alag rakhne ki koshis karte hai. Lekin iska prabhav bahot bhayanak hota hai.
Udaaharan ke liye agar agar kisi sher ke bachhe aur bakri ke bachhe ko suru se hi
saath saath rakha jaye to bada hokar jab wo sher aur bakri ban jayega tab bhi sher
us bakri ko nahi khayega kyuki tab tak dono dost ban chuke honge. Agar sher ko ye pata bhi chal
jaye ki bakri unka bhojan hai firbhi wo nahi khayega kyuki tab tak use us bakri ke
saath itna lagav ho gaya hoga ki wo use khane ke bare me ya kisi bhi tarah se haani pahuchane ke baare me nahi sochega lekin agar
kisi sher ko achanak samne bakri mil jaye to wo use turant jhapat lega kyuki tab
uske liye bakri uska dost nahi balki sirf shikar hoga. Ye nature ka niyam hai hum
aur aap ise nahi badal sakte. Isliye jaroori ye hai ki hum ladke ladki ke bare me
apni soch ko badle aur dono ko positive nazariye se dekhe aur dono ko hi saman
adhikar de.
5. Sahi shiksha : Hume ye maana padega ki humare desh me shiksha ka star bahot hi
kharab hai. Bhale hi sarkari aankde kuch aur kehte ho lekin ye sach hai ki humare
desh ke school colege o me sirf kitabi gyan milta hai. Maine aise bahot se students
dekha hai jo ratta lagake M.B.A ki degree tak le lete hai lekin vastavik gyan unhe nahi
mil pata hai. Humara prathamik shiksha ka star bhi kharab hai jise hum sanskaar
kehte hai. Agar shiksha ka star sahi kiya jaye aur desh ke har vyakti ko sikshik
kiya jaye to bahot hadd tak crime ruk jayega.
6. Kanoon vyawastha: Aakhir me hai humara kanoon vyavastha. Ab jaroorat hai ki desh
ke purane kanoon ko badla jaye aur samay ke saath saath unke badlav ki jay. Samay ke
saath saath har chij badalta hai fir humara kanoon kyu nahi. Humara kanoon
vyavastha aisi honi chahiye ki har apradhi chhoti se chhoti apradh karne se pehle
hajar baar soche. Agar wo nashe ki haalat me ho firbhi humare kanoon me saja aisi ho ki use yaad karke uska nasha
toot jaye. Agar ek apradhi ko bhi 6 mahine ke andar kadi saja mil jaye to iska asar
hazaro apradhi par padega. Saja aisa ho ki apradhiyon ke ruh kaap uthe. Ye 7 saal,
20 saal, aajivan karavas aisi sajao se kuch farak nahi padega. Ya to wo jamanat pe
bahar nikal aayege ya fir jail me hi apni zindagi aaram se guzar lenge. Humne aise
bahot kaidiyon ki story suni hai jo jail me jyada khush rehte hai kyuki unhe bahar
me khane peene ke laale pade the, job nahi nahi thi unke paas. Aisi haalat me wo
jail me hi apne aapko jyada mehfuj mante hai.
Kumar sanu ji ka ek gana hai “Ek ladki ko dekha to aisa laga Jaise Khilta Gulab,
Jaise Shayar Ka Khwab, Jaise Ujali Kiran, Jaise Bun Mein Hiran, Jaise Chandani Raat
Jaise Narmi Ki Baat, Jaise Mandir Mein Ho Ek Jalta Diya… ” Hum chahte hai ki ek
din aisa aaye ki har Aadmi mahilawo ko isi pyaar bhare nazar se dekhe naki kamukta
bhare nigaho se. Ladkiya chahe kitni bhi bhadkau dress pehne ladko me itna pyar
bhara ho ki wo unki aankho me dekhe na ki skirt pe.
Hum ye ummid karte hai ki bhavishya me desh me aise hi swasth samaj ka nirmaan hoga.
Aur humara bharat “Love Country” ke naam se jane jayenge naki “Rape country”
Jai Hind

Comments

Popular posts from this blog

Apne Friends Me Interesting Kaise Bane

Friends ke beech me interesting banna chahte ho jisse har koi aapko love kare? Har koi kahe ki aap mean nahi ho, wild nahi ho… but interesting jaroor ho. Or interesting kaise banna jaa sakta hai… simple doston aapki information interesting honi chahiye, aapki hobbies, bolne ka style, laughing everything interesting hona chahiye tabhi doston ke beech me aap alag or interesting najar aaoge or everyone loves you. So guys inhi baato se related aaj hum aapke sath “ Apne Friends Me Interesting Kaise Bane | Tips ” topic share karne jaa rahe hai. Iss article ko full read kar ke interesting banne ke ideas ko jaroor dekhe. Hobby Ka Hona Jaroori Hobby kuch aisi jo fun and cool ho . Taki aapke sath sath aapke friendz bhi enjoy kar sake or keh sake ki what a interesting person . Good hobbies me aap sewing, creative writing, sports, music and dance ko add kar sakte ho. So guys agar aapki hobbies hi interesting hogi to aap khud hi interesting najar aaoge or friends ke beech me
सवाचता अभियान    को लेकर अखिल भारतीय विद्यार्थी परिषद् मदन में पावागद दर्शन