Skip to main content

Study Karte Time Kya Karna Chahiye Aur Kya Nahi Karna Chahiye

Hello doston kabhi na kabhi aap confuse hote
honge ki study time me kya kare aur kya na
kare. I know doston jab hum study karne bethte
hai kai baar humara mann nahi lagta to kabhi
hum study se distract hone lag jaate hai aas
paas ki cheezo se. To aaj aapki yahi problems ko
dekhte hue hum aapke liye laaye hai kuch aise
tips jo aapko help karenge or aapko janne me
madat karegi ki during study kya karna chahiye
aur kya nahi karna chahiye.
So guys aaj ka humara topic hai ‘ Study Karte
time kya karna chahiye aur kya nahi karna
chahiye.’ Students apni life me bahut se issues
ko face karte hai jiss karan study me concentrate
karna mushkil ho jata hai. Or agar aap school ke
student ho to, apko time to time regular study
karni padti hai taki aapka year to year progress
badta rahe. So study karte time kya karna
chahiye aur kya nahi ye aaj hum aapko TOPPER
GURU me btane jaa rahe hai. Check Out Below…..
Study Karte Time Kya Karna
Chahiye
Friendz… humne bahut se topic study se related
likh chuke hai ki study ke time kaise or kya
karna chahiye. Bas yahi hum aapko kuch points
ke through bhi aaj btane vale hai.
Study se pehle apna goal set kar le. Aur
apne goal ko note kare aur apne study table
pe laga le.
Study hamesha planning ke sath kare.
Study me concentrate or focus ka hona
bahut jaroori hai. tabhi study karne me maza
(interest) ayega.
During study time apne sath water bottle
rakhe or kuch jaroort ke samna ya study
material bhi pehle se hi sath rakh ke study
kare. Taki bar bar aapko study ke bich me
uthne ki jaroort na pade.
Study karte time apne phone, electronic
device jo bhi aapko distract karti hai usse
apne se dur rakhe. Taki study ache se ho
sake.
Study karte time apne mann or dimag ko
khali rakhna chahiye taki aap jo padh rahe
ho vo easily dimag me aa sake or aap ache
se focus kar sake.
Study karte time aap apne notes ko khud se
banae. Isse aapko yad bhi ho jaega aur
notes bhi bn jaenge jo study ke time aapke
kaam aenge.
Study karte time break ke sath healthy food
bhi lena chahiye jo apko physically or
mentally fit rakhti hai.
Study karte time halka or soft music sunn
lena chahiye taki apke dimag ki thakawat ko
dur kar fresh or stress free bana sake. Jisse
aap phir se study karne me mentally
prepared raho.
Study kare kuch knowledge gain karne ke
liye. So isse apne aap study me interest
aane lagega.
Study Karte Time Kya Nahi Karna
Chahiy
Doston hume pta hota hai ki hume during study
time kya cheese nahi karni chahiye phir bhi hum
log aadat se majbur vahi cheez ko repeat karte
hai or hume khud ko pta nahi hota ki ye study
nahi ho rahi hai kuch or hi ho raha hai. So jante
hai study karte time kya nahi karna chahiye se
related tips.
Study time par cramming nahi karni chahiye.
Isse doston yaad to ho jayega but vo jyada
der tak yaad nahi rahega or baki ka bhi yaad
kiya hua bhul jayega. So stop cramming.
Study karte time tv, video game, loud music
nahi sunna chahiye kyuki isse study kam or
aap jyada distract hote ho.
Study karte time apne mann me kissi aur (gf
or bf) ka khayal nahi laana chahiye.
Study karte time sona nahi chahiye.
Avoid heavy meal before study. Heavy khana
khane se nind jaldi ati hai.
Study karte time kabhi bhi stress nahi lena
chahiye, kabhi ye nahi sochna chahiye ki
pichla test mera bekar hua tha or result bhi
bekar aayega. Bas ye soch soch ke aap
study se bhatak jaate ho jo ki nahi karni
chahiye.
Study karte time kabhi bhi night me apne
room ko dark na kare because aise me agar
aapko neend bhi nahi aa rahi hogi to bhi aap
sone lagenge.
Study karte time jab kabhi aapka sir dukhe
to don’t scratch your head. Balki aap ice
pack head ke effected scalp me laga sakte
ho jo ki dry ho. Isse aaram milega.
Study karte time kabhi bhi chew gum ka use
na kare kyuki study karte time reading me
difficulty aati hai. But you cn use it during
practical subject.
Study karte time do ya teen cheezo me
focus nahi karna chahiye. Balki ek hi time
me ek hi topic par focus hona chahiye tabhi
study kar paoge or kuch learn bhi kar
paoge.
So guys here we are sharing with you some tips
about ‘ study karte time kya karna chahiye aur
kya nahi karna chahiye.’ Umeed karte hai ki
aapko humare points or ye topic pasnad aaye
honge to phir hume msg karna na bhule. And
also don’t forget to share and like this article. To
get more information about other article then
stay tuned with us. Be Happy.

Comments

Popular posts from this blog

Apne Friends Me Interesting Kaise Bane

Friends ke beech me interesting banna chahte ho jisse har koi aapko love kare? Har koi kahe ki aap mean nahi ho, wild nahi ho… but interesting jaroor ho. Or interesting kaise banna jaa sakta hai… simple doston aapki information interesting honi chahiye, aapki hobbies, bolne ka style, laughing everything interesting hona chahiye tabhi doston ke beech me aap alag or interesting najar aaoge or everyone loves you. So guys inhi baato se related aaj hum aapke sath “ Apne Friends Me Interesting Kaise Bane | Tips ” topic share karne jaa rahe hai. Iss article ko full read kar ke interesting banne ke ideas ko jaroor dekhe. Hobby Ka Hona Jaroori Hobby kuch aisi jo fun and cool ho . Taki aapke sath sath aapke friendz bhi enjoy kar sake or keh sake ki what a interesting person . Good hobbies me aap sewing, creative writing, sports, music and dance ko add kar sakte ho. So guys agar aapki hobbies hi interesting hogi to aap khud hi interesting najar aaoge or friends ke beech me
सवाचता अभियान    को लेकर अखिल भारतीय विद्यार्थी परिषद् मदन में पावागद दर्शन 

Rape reason & solution – बलात्कार – एक गंभीर मुद्दा और उसका हल

Lo ek aur news aa gayi balatkar ki. News walo ko news mil gayi, hum thodi der ke liye dukhi hue, police apni na khatam hone wali karwai pe joot gayi aur rajneetik dalon ko apni rajniti chankane ka ek aur mouka. Bas yehi to ho raha hai aajkal desh me. Aaye din aisi balatkar ki ghatnao ke baare me sunkar man karta hai kursi par baithe humare rajnetao ki kaan khichkar unhe jamin par le aau par kya kare humari bhi kuch daayre hai.  Sabse bura to tab lagta hai jab ye sunte ko milta hai ki ek baap ne beti ka balatkaar kar liya. Behan apne bhai ke haiwaniyat ka shikaar ban gayi. Hum sochne pe majboor ho jate hai ki desh me ye kya ho raha hai. Hum to sarkar ko koste rahte hai lekin ye na bhule ki in sab ke liye humsab bhi kum jimmedaar nahi  hai.Mai  to kahunga hum hi jimmedaar hai humara samaj hi jimmedaar hai. Hume pata hai ki sarkar kuch nahi kar rahi hai fir kyu hum unhipar baar baar ummid lagaye baithte hai, jab hume pata hai ki sarkar soyi hui hai to kyu hum India Gate Pe cand