Jab bhi aap apne computer par koi bhi File save karte hai, wo file aapke computer ki Hard Drive me save hoti hai, agar aapko computer ke parts me interest hai to aapko hard drive ke baare me jaroor padhna cahiye.
Is article me mai aapko Hard Disk ke baare me poori jaankari dunga.
Hard Drive Kya hai?
Hard Drive – Hard Disk ya HDD ek hi baat hai, ye ek physical disk hoti hai jiko ham apne computer ki sabhi badi choti files store karne ke liye use karte hai.
Hard disk aur RAM me ye farak hota hai ki, Hard disk to cheeze store karne ke kaam aati hai, lekin RAM us storage mai rakhi cheezo ko chalane ke kaam aati hai.
Jab ham computer ko band karte hai to RAM me padhi koi bhi cheez clear ho jati hai. Lekin HDD me computer band hone par bhi data erase nahi hota.
Hard disk ke ander ek disk ghumti hai, jitni tej disk ghumti hai utni jada teji se ye Data ko store ya read kar sakti hai. Hard disk ke ghume ke speed ko hum RPM (Revolutions Per Minute) me naapte hai. Jadatar Hard disks 5400 rpm ya 7200 rmp ki hoti hai, jahir si baat hai 7200 rmp ki hard disk 5400 rmp wali se jada fast hoti hai.
Hard Disk Slow Kyo ho jati hai ?
Jab bhi hum Hard Disk par data store karte hai wo tukdo me store hota hai, aur kayi baar wo tukde Hard Disk ke alag alag hisso me chale jaate hai. Jab bohot jada data ho jata hai hamari hard disk me to hamare computer ko hard disk me cheeze dhundne me thodi dikkat hoti hai, jis kaaran wo slow ho jata hai.
Agar Hard disk ko fast rahkna hai to samye samye par apne computer ke software dwara hard disk ko defragment karte rehna cahiye. Defragment karne se hard par sabhi files ke tukde alag alag jagha par hone ki bajaye, ek sath aa jate hai, aur hamare computer ko Hard disk par files dhundne me koi bhi pareshani nahi hoti.
External Hard Drive kya hai ?
External hard drive ander se bilkul hamare computer ki Hard drive jaisi hoti hai, bas farak itna hai ki external HDD hamare computer par externally USB post dwara lagai jaati hai.
USB connect ki wajha se external HDD internal HDD se thoda slow kaam karti hai.
External HDD ka fayada ye hai ki is aap apne sath kahi bhi leja sakte hai.
SSD kya hai ?
Hard Disk me disk ghumti hai, lekin SSD me chip hoti hai, isme koi bhi drive nahi ghumti.
Kisi physical ghumne waali drive na hone ki wajha se SSD yani ki Solid State Drive ki speed HDD ki speed se kayi guna jaada hoti hai.
Lekin problem ye hai ki SSD apne internal banavat ki wajha se bohot mehngi hoti hai.
SSD chalne ke liye bohot kum power leti hai aur Fast hoti hai.
Is wajha se aajkal ki sabhi ultrabooks me SSD lagi aati hai. Jaise ki Apple ke Macbook Air me SSD integrated hokar pehle se hi aati hai.
Post padne ke liye Thank You mujhe lagta hai ki is post se aapko kuch seekhne ko mila hoga.
Thank You
Comments