Posted 1 Day, last updated on Feb 26
Android 2007 me google ne nikla tha, Jab bhi log mobile lene jaate hai wo Android Mobile mangte hai. Lekin bohot kam logo ko Android ke baare mai nahi pata hai.
Agar aap un logo mai se ek hai to ghabraiye nahi, Is article me hum samjayge ki Android kya hai taaki naya mobile khridte hue koi bhi vyakti aapka ullu naa bana sakte. 

Android Kya Hai?
Aapne dekha hoga ki Laptop kisi bhi company ka ho usme Windows hi dali hui aati hai, Windows ke jaise bohot saare aur bhi software aate hai, lekin hum company Windows isliye daalti hai kyoki aam use ko wo pasand hai aur uske mukable ka abhi tak koi aur software aya nahi.
Theek isi tarah Mobile kisi bhi company ka ho use Android system hi dala hua aata hai. Android ko ham Mobile ka operating system kehte hai. Android itna famous hai ki iske ek din mai 15 lack activation hote hai.
Android ke famous hone ke ek vajha ye hai ki ye duniya ki sabse badi company Google ka hai, Aur isko Google ki ID dwara hi chalaya ja sakta hai, Sabhi android devices pehle se hi Google Search, YouTube, Play Store, Gmail, Google Drive ke saath aate hai, aur ye sabhi Apps ek doorse ke sath milkar ek hi Google ID se chalti hai.
Android ko mobile me daalne ke baad mobile ek Mini computer ki tarha ban jata hai – isi Mini computer ko hum smartphone bhi kehte hai.
Smartphone par aap lagbhag kisi bhi tarha ki Application chala sakte hai. Android Platform ke liye Lakho Apps aati hai jinhe aap Play Store se download kar sakte hai.
Play Store Kya Hai?
Ye aapke smartphone par sabse jaroori App hai, kyoki duniya ki baaki sabhi App aapke mobile mae isi App dwara hi daali jaati hai.
Google Play store ek bohot bade Store ki tarha hai jaha se aapMusic, Books, Movies, Apps, Games, Newspaper etc, download kar sakte hai. Google Play chalane ke liye sirf aapko ek Google account cahiye hota hai, uske baad App Play Store se Lakho Apps aur baaki cheeze aaraam se download kar sakte hai.
Yaha par jitni bhi Android Apps hoti hai wo Google waale nahi banate, ye sabhi Apps Developers banate hai, Kaafi seekhne ke baad aap bhi apni khud ki App banakar yaha daal sakte hai ya fir sell bhi kar sakte hai.
Android Version Kya hai?
Microsoft windows ki tarha Google apna koi mobile nahi banata, Google ka kaam sirf Android Platform ko sudharna hai aur usme time ke sath sath naye feature add karna hai. Aur Hardware companies jaise ki Xiaomi, Samsung, HTC ye log Android ko apne mobile par daal kar logo ko mobile sell karte hai.
Aage padhe:
Android ka lagbhag har saal naya version ata rehta hai. Problem ye hai ki puraane mobile par new version ki updates bohot kam companies deti hai. Isliye hume mobile kharidte time hamesha Latest Android version hi lena cahiye.
Agar aapko android ke sabhi version ke baare mai jaana hai to ye list dekhiye, is list me maine Android ke pehle version se lekar last version tak ke naam likhe hai.
- Cupcake (1.5)
- Donut (1.6)
- Eclair (2.0–2.1)
- Froyo (2.2–2.2.3)
- Gingerbread (2.3–2.3.7)
- Honeycomb (3.0–3.2.6)[a]
- Ice Cream Sandwich (4.0–4.0.4)
- Jelly Bean (4.1–4.3.1)
- KitKat (4.4–4.4.4, 4.4W–4.4W.2)
- Lollipop (5.0–5.1.1)
- Marshmallow (developer preview 3)
Aap dekh sakte hai ki kis tarha Android apne versions ko ABCD… Alphabets me lekar chal raha hai jo ki C se shuru hai aur M tak pohcha hai. Google waalo ne android ke sabhi versions ke naam me kisi na kisi Sweet ka hi use kiya hai.
Android ka jo Latest version chal raha hai wo hai Lollipop, lekin kuch dino baad android 6 Marshmallow release hone waala hai.
Android Updates Free hoti hai, lekin ye updates unhi mobiles ko support karti hai jinka Hardware updates ko sambhal sake. Ye updates OTA (Over the Air) hoti hai, yani ki Aap in updates ko bina service center lijaye Internet se download karke khud install kar sakte hai.
Agar aapko Android ki aane waali har update cahiye to aap Google Nexus kharid sakte hai, Google Nexus aise device hai jo Google baaki hardware companies ke saath milkar banati hai. Nexus ka ye fayada hai ki ye original Android version use karta hai. Isliye iski updates baaki sabhi smartphones se pehle mil jaati hai.
Konsa Mobile Kharide?
Agar aap naya mobile lene jaa rahe hai to usme Android 5 Lollipop version hi le. Aur ye bhi dekh le ki kaisi company se mobile le rahe hai, kyoki kuch dino baad Android Marshmallow aane waala hai aur kuch companies apne mobile par updates bohot der baad deti hai. Aap mobile company ke customer kare par call karke updates ke baare mai jaankari prapt kar sakte hai.
Agar aapka koi sawaal hai to aap humare Facebook Group mai pooch sakte hai, aur aisi hi aur jaankari ke liye hume Facebook par follow kar sakte hai.
Thank you.
0 Comments